likh deti hun..
kuch shabd,do baatien..
par arth..
arth kahan chu paati hun main..
Gira daal se phool,maine likha
par kya uker paayi main..
vichoh ki vedna..
patan ki peedha..
kya utaar paayi main ..??
apne shabdon mein..
vriksh ki nagnta se upji kuntha..
naye patton ke aagman hetu..
vasant ki prateeksha mein nihit dhiarya..
likh deti hun..
kuch shabd,do baatien..
par arth..
arth kahan chu paati hun main..
kabhi varnit kiya..
dhalte suraj ki rashmiyon
ka khoya tej..
kabhi chitrit ki..
preyasi ki jhalak ko vyakul premi
ki adheerta ..
kabhi..
kabhi bete k ghar na aane par
maa ka badahawas chehra dikhlaya..
kabhi...
kabhi asafalta se darre mann ko samjhaya..
par kahin kuch adhoora sa hai..
ye lekhni poorn nahin..
abhavgrast hai...
bass
likh deti hun..
kuch shabd,do baatien..
par arth..
haan arth ..kahan chu paati hun main..
nahi..sab vyarth
kuch bhi to saar nahi likh paati hun main..
kuch bhawnayein ..
nikal gayin rengti hui farsh par..
kuch ahsaas hawa k jhonke ki tarah..
chu kar nikal gaye..
kuch kahaniyan unkahin rah gayin..
kuch kavitayein mukt ho gayin..
chhandon ke anushaasan se..
main muh baaye khadi hun..
kaaran jaanane ko aatur..
k kyonkar...
jab likh leti hun..
kuch shabd ,kuch baatein
to arth kyun nahi likh paati hun main....